Song Title: Madeene Ko Jaayen
Singer: CHITRA SINGH
Writer:
Lyrics of the song 'Madeene Ko Jaayen' from bollywood movie/album 'TAREEF US KHUDA KI'


madeene ko jaayen yeh ji chaahata hai
muqaddar banaayen yeh ji chaahata hai

madeene ke aaqaa, do alam ke maula
tere paas aayen yeh ji chaahata hai
madeene ko jaayen yeh ji chaahata hai

jahan donon aalam hein mahv-e-tamanna
vahaan sar jhukaayen yeh ji chaahata hai
madeene ko jaayen yeh ji chaahata hai

muhammad ki baaten, muhammad ki seerat
sune aur sunayen yeh ji chaahata hai
madeene ko jaayen yeh ji chaahata hai
Add Your Comment