Oxford Sikhs

You are here: Home > Lyrics > Mohammad-Rafi
Song Title: Ik Chameli Ke Mandave Tale
Singer: RAFI, AASHA
Writer:
Lyrics of the song 'Ik Chameli Ke Mandave Tale' from bollywood movie/album 'CHA CHA CHA'


do : ik chameli ke mandave tale -2
maikade se zara door uss mod par -2
do badan pyar ki aag main jal gaye
ik chameli ke ..

ra : pyar harf-e-vafa pyar unaka khuda -2
pyar unaki chita
do : do badan pyar ki ..

os main bheegate chaandani main nahaate hue -2
jaise do taazaa-ru taazaa-dam phool pichhale pahar -2
thandi thandi subuk rau chaman ki hava -2
sarf-e-maatam hui -3
ra : kaali-kaali laton se lipat garm rukasaar par
ek pal ke liye ruk gayi
do : do badan pyar ki ..

o hamane dekha unhen din main aur raat main noor-o-zulmaat main -2
ra : masjidon ke minaaron ne dekha unhen
a : mandiron ke kivaadon ne dekha unhen
a : maikade ki daraadon ne ( dekha unhen ) -3
do : do badan pyar ki ..

yeh bata chaaraagar teri ( zambeel main ) -2
ra : nuskaa-e-keemiyaa-e-mohabbat bhi hai
a : nuskaa-e ..
ra : kuchh ilaaj-o-mudaavaa-e- ( ulfat bhi hai ) -2
do : do badan pyar ki ..
Add Your Comment