Oxford Sikhs

You are here: Home > Lyrics > Mukesh
Song Title: Mujhe Mil Gayi Hai Mohabbat Ki Manzil
Singer: MUKESH
Writer:
Lyrics of the song 'Mujhe Mil Gayi Hai Mohabbat Ki Manzil' from bollywood movie/album 'FIRST LOVE'


(mujhe mil gayi hai mohabbat ki manzil
koyi puuchh le yeh mere hamasafar se) - 2
mujhe mil gayi hai

nazar se nazar ka bada faasala tha
magar aaj dil ke qarin ho gaye ho
(tumhein maine dekha jo dil ki nazar se
meri bhi nazar main hasin ho gaye ho) - 2
mujhe mil gayi hai

mere haath main yun tera haath aaya
ke gulashan main jaise bahaar aaa gayi ho
(magar haath se yun khincha haath tera
mein samajha kali koyi sharama gayi ho) - 2
mujhe mil gayi hai

jise sunakar dil ki huyi tez dhadakan
mujhe aaj aisi kahaani mili hai
(nigaahon se chaahe n nigaahein mili naa
mohabbat ki lekin nishaani mili hai) - 2
mujhe mil gayi hai
Add Your Comment